क़रार
नज़रों से बयान तबस्सुम है
हो कोई फ़िज़्ज़ा, कोई मंज़र हो
कोई राह जो चल कर बनती हो
और मील का ना कोई पत्थर हो
हो फ़र्ज़ कोई, कोई हो ज़िम्मा
गई रात में खिंचता दफ़्तर हो
कोई जंग जो लड़नी हो लाज़िम
और साथ ना कोई लश्कर हो
देखी न कभी सिरहाने ने
वो थकन जो तन को चूर करे
हरगिज़ न ज़मीर ये मानेगा
मेहनत को कोई मशहूर करे
समझे जो मुझे कोई ज़ेर-ए-लब
आए जो फ़िज़्ज़ा में नूर करे
जो सर को रखे, मेरे शाने पर
यूँ थकन को मेरी दूर करे
_________________________________
Nazro.n se bayaan tabassum hai
Ho koi fizza, koi manzar ho
Koi raah jo chal kar banti ho
Aur meel ka na koi patthar ho
Ho farz koi, koi ho zimma
Gayi raat mein khinchta daftar ho
Koi jung jo ladni ho laazim
Aur saath naa koi lashkar ho
Dekhi na kabhi sirhaane ne
Woh thakan jo tan ko choor kare
Hargiz na zameer ye maanega
Mehnat ko koi mashhoor kare
Samjhe jo mujhe koi zer-e-lab
Aaye jo fizza mein noor kare
Jo sar ko rakhe, mere shaane par
Yuun thakan ko meri door kare
________________________________
Qaraar ~ calmness
Tabassum ~ smile
Fizza ~ atmosphere
Meel ka patthar ~ milestone
Farz ~ duty
Zimma ~ responsibility
Daftar ~ office
Jung ~ battle
Laazim ~ inevitable
Lashkar ~ army
Sirhaana ~ pillow
Hargiz ~ ever
Zameer ~ conscience
Zer-e-lab ~ unspokenly
Noor ~ radiance
Shaana ~ shoulder
Comments
Post a Comment