मयस्सर

तारीख़ में जहाँ भी दास्ताँ है मयस्सर
काग़ज़ को एक क़लम का साएबाँ है मयस्सर

बच्चों को खिलौनों को तोड़ने दो मुसलसल
बेख़ौफ़ आने वाला नौजवाँ है मयस्सर

जिस भी फ़ज़ा में नूर है उसमें है नज़ाकत
गुल अनछुए रहें तो गुलिस्ताँ है मयस्सर

छूने को एक आसमान है सदा क़ायम
मानो जो साएबाँ तो आसमाँ है मयस्सर

मिसरों के नक़्श-ए-पा से कारवाँ है मयस्सर
मेरी ज़ीस्त के नुक़ूश की ज़बाँ है मयस्सर

_________________________________

Taarikh me jahaan bhi dastaañ hai mayassar
Kaagaz ko ekk qalam ka saaebaañ hai mayassar

Bachhon ko khilonoñ ko todne do musalsal
Bekhauf aane wala naujawaañ hai mayassar

Jis bhi faza me noor hai usme hai nazaakat
Gul unchhue rahein toh gulistaañ hai mayassar

Chhoone ko ekk aasmaan hai sadaa qaayam
Maano jo saaebaañ toh aasmaañ hai mayassar

Misroñ ke naqsh-e-paa se karvaañ hai mayassar
Meri zeest ke nuqoosh ki zabaañ hai mayassar



Mayassar ~ in reach / accessible / available / in abundance
Taarikh ~ history
Saaebaañ ~ shade / shelter
Musalsal ~ consistently
Faza ~ atmosphere
Noor ~ Radiance
Nazaakat ~ delicacy
Qaayam ~ intact
Misroñ ~ a line of a poem
Naqsh-e-paa ~ footprints
Karvaañ ~ journey
Zeest ~ life
Nuqoosh ~ impressions / carvings
Zabaañ ~ speech

Comments