नायाब एक उड़ाँ को
नायाब एक उड़ाँ को रक्खा संभाल करके
रक्खा उसे तसव्वुर में कुछ ख़याल करके
बहता है जो रगों में वो सुर्ख ताप लेकर
देखा है इस शफ़क़ को खुद में बहाल करके
बंधन में पुरकशिश को रखना ज़वाल होगा
उसका उरूज ज़ाहिर है बेमिसाल करके
साहिल पे कश्ती रखना और ख़ुद सफ़र पे जाना
सागर के तल को छूना, सागर उछाल करके
पीछे जो थे जवाबों के वो सवाल परखे
आगे वही सवालों पर फिर सवाल करके
काग़ज़ पे ख़ुद को अक्सर, अपने ही हाथों लाना
ख़ुद से है ख़ुद का मिलना, ख़ुद से निकाल करके
______________________________________
Naayaab ikk udaa.n ko rakkha sambhaal karke
Rakkha usee tasavvur me kuchh khayaal karke
Behta hai jo ragon mein voh surkh taap lekar
Dekha hai iss shafaq ko khud mein bahaal karke
Bandhan me purkashish ko rakhna zawaal hoga
Uska urooj zaahir hai bemisaal karke
Saahil pe kashti rakhna aur khud khud safar pe jaana
Saagar ke tal ko chhoona, saagar uchhal karke
Piichhe jo the jawaabon ke voh sawaal parkhe
Aage vahi sawaalon par fir sawaal karke
Kaagaz pe khudko aksar, apne hi haathon laana
Khud se hai khud ka milna, khud se nikaal karke

Naayaab ~ rare
Tasavvur ~ imagination
Ragon ~ veins
Surkh ~ crimson
Taap ~ heat / vitality
Shafaq ~ twilight
Bahaal ~ intact
Purkashish ~ beauty
Zawaal ~ decline
Urooj ~ rise
Zaahir ~ appear
Bemisaal ~ unique
Saahil ~ shore
Tal ~ seabed
Parkhe ~ inquired
Aksar ~ often
Comments
Post a Comment