टूटा हुआ सितारा

टूटा हुआ सितारा क़ायनात से जो निकला
मैं ख़ुद मेरा होकर मेरे हाथ से जो निकला 

ख़ामोशी में मिलना होने लगा है जब से
मेरी बात का वो मतलब मेरी बात से जो निकला

वस्ल की जो ज़िद थी उस पर हूँ अब पशेमाँ
फ़ैसले में हिज्र मुलाक़ात से जो निकला

दिल दूर तक गया है माज़ी के तसव्वुर में
लौटा नहीं है अब तक गई रात से जो निकला

यूँ ज़ार ज़ार होना लगती है अब शरारत
हँसते हुए अपने ग़म-ए-हालात से जो निकला

इन मिसरों की स्याही है अश्क की जानिब से 
स्याही का रंग सुर्ख है हयात से जो निकला

____________________________________

Toota huaa sitaara qaaynaat se jo nikla
Main khud mera hokar mere haath se jo nikla

Khaamoshi me milna hone laga hai jabse
Meri baat ka voh matlab meri baat se jo nikla

Wasl ki jo zidd thi uss par hoon ab pashemaan
Faisle me hijr mulaqaat se jo nikla

Koi door tak gaya hai maazi ke tasavvur me
Lauta nahi hai ab tak gaii raat se jo nikla 

Yun zaar zaar hona lagti hai ab sharaarat
Hanste hue apne gham-e-haalaat se jo nikla

Inn misron ki syaahi hai ashq ki jaanib se
Syahii ka rang surkh hai hayaat se jo nikla


____________________
Wasl ~ Meeting
Pashemaan ~ Remorseful
Hijr ~ Separation
Maazi ~ Past
Tasavvur ~ Reflection
Zaar Zaar ~ Bitterly
Gham-e-haalaat ~ Sorrow of situation
Misra ~A line of a poem
Ashq ~ Tears
Jaanib ~ From
Surkh ~ Red
Hayaat ~ Life

Comments

Popular Posts