बहरहाल

फ़लक तक उड़ान का सवाल था कोई
ख़्वाब ज़मीं-दोज़ बहरहाल था कोई

ज़माने में लोग क़ैद इसलिए भी थे
पिंजरे में साएबान का ख़याल था कोई

बग़ावत यूँ ही नहीं उरूज पर रही
सियासत का उन दिनों ज़वाल था कोई

आज़माइश-ए-वक्त थी वो हिज्र की ज़बान
एक दिन में गुज़रा जैसे साल था कोई

जाने दिया उसे तो फिर आवाज़ भी ना दी
फ़क्र था बेशक़ पर एक मलाल था कोई

______________________________________

Falak tak udaan ka sawaal tha koi
Khwaab zameen-doz baharhaal tha koi

Zamaane me log qaid isiliye bhi the
Pinjre me saaebaan ka khayaal tha koi

Baghawat yun hi nahi urooj pe rahi
Siyasat ka unn dinon zawaal tha koi

Aazmaish-e-waqt thi voh hijr ki zabaan
Ekk din me guzra jaise saal tha koi

Jaane diya usee toh fir awaaz bhi na di
Fakr tha beshaq par ekk malaal tha koi




Falak ~ Sky
Zameen-doz ~ Underground
Baharhaal ~ Nevertheless
Saibaan ~ Roof
Urooj ~ Rise
Zawaal ~ Decline
Hijr ~ Separation
Zabaan ~ Promise

Comments

Popular Posts