त'आरुफ़

मैंने त'आरुफ़ नहीं किया थीं वो नज़र के सामने 
मानो दरिया मुड़ गया हो समंदर के सामने

ज़िल्लत या मोहब्बत है ये मुझको नहीं मालूम 
मैंने दिल जो पेश किया है ख़ंजर के सामने

छत न थी तो जो शजर के साएबान में जिए
कुल्हाड़ी लिए खड़े हैं वो शजर के सामने

इस शहर की मसरूफ़ियत क्या जाँ से बढ़के है 
शख़्स लापता खड़ा है अपने घर के सामने

क़ायनात ने हर इल्म से नवाज़ा उन्हीं को 
जिनके सर कभी ना झुके मुकद्दर के सामने

जो देश तोड़ने की बात करते हैं वो ये सुनें
यहां नदियाँ भी लश्कर थीं सिकंदर के सामने

____________________________________

Maine ta'aaruf nahi kiya thin voh nazar ke saamne
Maano dariya mud gaya ho samandar ke saamne

Zillat ya mohabbat hai yeh mujhko nahi maloom
Maine dil jo pesh kiya hai khanjar ke saamne

Chhat na thi toh jo shajar ke saebaan me jiye
Kulhaadi liye khade hain voh shajar ke saamne

Iss shahar ki masroofiyat kya jaan se badhke hai
Shaks laapata khada hai apne ghar ke saamne

Qaaynaat ne har ilm se nawaaza unhi ko
Jinke sar kabhi na jhuke muqaddar ke saamne

Jo desh todne ki baat karte hain voh yeh sunein
Yahaan nadiyaan bhi lashkar thin sikandar ke saamne 


Ta'aaruf ~ introduction
Zillat ~ humiliation
Shajar ~ tree
Saebaan ~ shade
Masroofiyat ~ busyness
Qaaynaat ~ Cosmos
Muqaddar ~ destiny
Lashkar ~ army

Comments

Popular Posts