दामन-ए-शब

क़तरों पे शोर होना सुखन का सबब रहा
समंदर मेरे ज़हन का फिर भी ज़ेर-ए-लब रहा
लोग दिन के नूर में भी अराइश से थे सजे
किसी शफ़क़ के लिए, मैं दामन-ए-शब रहा

बयानों के बाज़ारों में बिक नहीं सकता
ज़माने के हूबहू कभी दिख नहीं सकता
स्याही-ए-अश्क-ओ-खून की ता-उम्र है कसम 
ज़मीर की न हो इजाज़त, तो लिख नहीं सकता

तोहमतों के दरमियान मैं खामोश रहूँ
इनायत के समंदर सा मैं आग़ोश रहूँ
इल्तिजा है कि किरदार पे पर्दा यूं कुछ गिरे
क़लम को धड़कन देकर मैं सरफरोश रहूँ

______________________________________

Qatron pe shor hona sukhan ka sabab raha
Samandar mere zehan ka fir bhi zer-e-lab raha
Log din ke noor me bhi araaish se the saje
Kisi shafaq ke liye main daaman-e-shab raha

Bayaanon ke bazaaron me bik nahi sakta
Zamaane ke hoobahoo kabhi dikh nahi sakta
Syaahi-e-ashq-o-khoon ki ta-umr hai kasam
Zameer ki na ho ijaazat toh likh nahi sakta

Tohmaton ke darmiyaan main khaamosh rahoon
Inaayat ke samandar sa main aagosh rahoon
Iltija hai ki kirdaar pe parda yun kuchh gire
Qalam ko dhadkan de kar main sarfarosh rahoon


Sukhan ~ discussions
Sabab ~ reason
Zer-e-lab ~ in whispers
Araaish ~ decorations
Shafaq ~ twilight
Daaman-e-shab ~ last part of night
Zameer ~ conscience
Tohmat ~ false allegations
Inaayat ~ kindness
Iltija ~ request
Sarfarosh ~ being a martyr

Comments

Popular Posts